Skip to content
Top Menu
May 17, 2022
  • Homepage
  • About us
  • Privacy Policy
  • Disclaimer
Techisb | Whatsapp Group Link

Techisb | Whatsapp Group Link

techisb.com providing top mobile Reviews, Smartphone Specification, Features, Laptop, Gadgets, Entertainment and share Latest New WhatsApp Group Link for Tech

  • Home
  • Tech News
    • Mobile
    • Laptop
    • Gadgets
  • WhatsApp Group Link
  • Whatsapp Video Status
    • Sad Status
    • Ertugrul Ghazi
    • Kurulus Osman
    • Funny Videos
  • Captions
  • Entertainment
    • Movies
  • Contact Us
Main Menu
Tech News

Google Par Account Banane Ka Tarika 2021

February 20, 2020January 19, 2021

Google Account Kaise Banate Hain

google account banane ka tarika
google account banane ka tarika

Friends Aaj Kal aksar log question karty hain kay Google par account kaise banate hain. Google account means ID ki needs zaroorat kab or kahan parti hai. Dosto jab hum kisi ko email kartay hain to us waqat bi aap kay paas apna email address hona chahye. Jab hum YouTube par video play kartay hain to us waqat bi Sign in ki option arahi hoti hai. Or ziayada tar apny mobile mae jab hum play store ya koi aap install karny ki koshih karty hain to us waqat bi Google Account ki zaroorat party hain.

Table of Contents

  • 1 Google Par Account Banane Ka Tarika
  • 2 How to Create Gmail Account 2021
  • 3 How to Google Sign In – New Google Account Say Kaise Loge In Kary 
  • 4  Note

Google Par Account Banane Ka Tarika

Dosto aaj hum aap ko Google par new account banane ka tarika batay gay jo kay bohat he easy hai. Hum aap ko screenshot kay mutabiq Google ID banane ka Asan Tariqa batay gay. Sab say pehly aap kay pass internet ki facility honi chahye. Par any laptop ya mobile phone say aap ny chrome browser ya kisi or browser open kar kay gamil.com ko type karna hai.

google par account banane ka tarika

Jb gmail.com browser ki address bar mae type kar kay enter kary gay to gmail.com ka home page open ho jay ga. Jb page open ho ga to AAP ko do option wazia nazar aye gay.

  • Sign in
  • Create an Account

How to Create Gmail Account 2021

Sign in ka matlab ye hota hai kay agar aap es site par pehly say register hain. Ya app nay apna account pehly say open kiya huwa hai. To aap apni ID say sign in kar sakty hai or mutalka website ki sign in ki facilities ko use kar sakty hain. Ab raha Create an Account ka Sawal. Jis ka pehlay say Account nahi bana huwa to ye option un kay leye hai. Hum to as a new user kay tor par new Google Gmail ID create karnay walay hain. To Hum Create an Account kay button ko press yani click kar dain gay.

google account banane ka asan tarika

Create as Account par click karnay kay baad aik or page open ho gay jis mae aap say mutaliq account create karny waly ki detail required ho gi. Jis mae First Name yani aap kay naam ka pehla haraf us mae type kar day gay. Last Name mae aap kay name ka akhri haraf es mae type karna hain. Agar aap ka name Bilal Saeed hai to first name mae Bilal of last name mae Saeed type kary gay.

  1. Full Name :     Bilal Saeed
  2. First Name :    Bilal
  3. Last Name :     Saeed 

Name ki Field Complete karnay kay bad 2nd option ata hai aap kay email yani Username ka. To es field, mae aap kay pass bohat sari option hoti hain aap chahay to apna complete name be yaha type kar sakty hain yani bilalsaeed. Phir Password ki option aati hai.

google ka account banane ka tarika

Ye Password kia hota hai

Password haqeeqat mae Key ka name hai. Yani Lock ki Chaabi jesay hum apny home ko jany say pehly lock kar daty hain to us ki key sirf hummary pass hoti hai. Isi tarha Google email account ki key yani Password hota hai jo sirf hum ko he pata hota hai. Jis ko hum Dusroo say shupa kar rakhty hai. Password hamesha apna unique hona chahye yani jab bi password lekha jay us mae numeric key – alphabetic key – of braet symbol honay chahye. Password laganay kay baad aap nay confirm ki field mae be same key password repeat karna hai. Phir aap nay NEXT  button par click karna ha agar to aap ka email ID available huwa or password dono match kar gia to aap ka email create ho jay gay. Ya phir red color ka error ajay ga jis ka matlab ye ho gay key en fields ko aap change karay.

google account banane ka tarika

Jesy he mae nay next kay button par click kiya to us nay Username or passward ki field ko red kar diya ha. Is ka matlab hai kay aap apni in both field ko change karya. Jaisa kay username mae likha huwa ha bilalsaeed123 is ka  matlab hai key ye Google Email ID kisi other person ko issue ho gae ha. Q kay puri world mae bilal saeed bohat sary hai. Mae aap ko kuch idea deta hun.

  • Bilalsaeed444
  • Bilalsaeed0099
  • Bilalsaeedthebest
  • Bilalsaeedbest
  • bilalsaeedPak
  • BilalsaeedIndia

Jab aap ka username set ho jay to apni 2nd field yani password wali field ko kaisy sahi kiya jay. Password ko sahi banay kay leye us mae alphabetic key yani abc numerical key yani 123 or bracket symbol wager ka use kar kay strong password create kar sakty hain.

Password ideas

  • Bilalsaeed#)(
  • Bilalsaeed123$$
  • Saeed0009*

In password mae aap ny dekha ho ga kay sary key board say alphabetic – numeric or symbol waly key use ho gay hain. both field ko ashi tarha fill kar kay NEXT kay button par click kary agar Google nay accept kar leye to phir aik or page open ho gay jis mae aap nay apna mobile number dena hota hai.

google account banane ka tarika mobile

Phone number ki field mae sab say pehla aap nay apna country select karna hai agar aap ka Taluk Pakistan say hai to Pakistan Select kary ya koi or country jis say aap belong karty hai ya India Select karay. Jb aap apna country select kar lay gay to country code wo khud he lekh day ga aap nay apna mobile number 03331234567 ki bajay 3331234567 ye lekhna ha pehlay wala ZERO nahi lekha jay ga. Phone number denay kay bad mobile aap ki pass hona bohat zaroori ha. Q kay us phone number par Google ki taraf say aap ko aik Verification Code Send kiya jay ga jo aap nay di gay screen kay mutabiq sahi type karna ha phir aap nay verify button par click karna hai.

google account kaise banate hain

Friend ab aap ka email address create kanay ka tumam process mukamil ho gia hai. Ab Aap ka problem hal ho gia hoa google account kaise banate hain.

How to Google Sign In – New Google Account Say Kaise Loge In Kary 

Jab aap ka Google Email account ban jay gay. To phir Google ki service avail karnay kay leye Google Sign in par click karna ho ga. Sab say pehly Gmail.com apny browser mae type kary. Page open hony par sign in kay option par click karnay kay bad aap nay apna email address or password type karna hai.

  1. Email address (for example)   bilalsaeed89484@gmail.com
  2. Password (for example)          Bilalsaeed123$$

Email address walay khany mae aap nay jo apnay email id banai thai jis mae @gmail.com ata hai wo aap ko email address ho gay. Or password jo aap nay email create kartay waqat apna Key yani Password type kiya tha.

 Note

Dosto jab bi aap say koi aap ka email address mangta hai to us ko yani bilalsaeed@gmail.com yani @gmail.com wala aap ka address ho gay wohi aap nay use ko dena ha provide karna hai. Or jo password ho ga wo aap kay email ki key yani Lock ho ga wo aap nay kisi kay sath share nahi karna sab say shupa kar rakha hai. Hum umeed kartay hai kay aap ko Google mae apnay Email Account banane ka tarika samaj mae a gia ho ga. Mobile par google account banane ka yahi tarika hai. Agar phir bi koi mushkil pesh arahi ho to comments kar kay aap hum say pooch saktay hain.

Taggedcreate email accountcreate gmail accountcreate gmail idgoogle account banane ka tarikagoogle account kaise banate haingoogle par account banane ka tarikahow gmail sign innew google account kaise banaye

Related Posts

best earning website MYGBIT

Best Earning Website MYGBIT (Ethereum / BTC)

February 11, 2021February 19, 2021

Best Alternative To Whatapp

Top 3 Best Alternative To WhatsApp – Similar But Trusted App

January 15, 2021January 16, 2021

How to Download Free Videos and #royaltyfreeimage for YouTube Videos

Download Free HD Image – 4K Videos – No Copyright Top 10 Websites

November 28, 2020February 19, 2021

Latest Movies

fmovies mobile movie site

FMovies | Best MOVIE Mobile Site | Download HOLLYWOOD – Bollywood – HINDI – TAMIL |

November 21, 2019February 19, 2021

jalshamoviez.in

Jalshamoviez.in – Download Bollywood – Hollywood Dubbed Movie in Hindi

November 18, 2019February 19, 2021

Joker Movie Download 7star hd

DOWNLOAD Movie HD “7StarHD” – Free Watch Movies Live – 300mb Mkv

November 14, 2019February 19, 2021

Mahira Khan Pakistani Movie Superstar

{Superstar} Movie Full Story – Mahira Khan – Kubra Khan

August 17, 2019February 19, 2021

todaypk movies download

TodayPk – Download Latest Hollywood Movie – Hindi Dubbed HD Movies – New Punjabi Download

July 15, 2019November 14, 2019

Sad Status Video

Mohabbat Main Bewafai Ki Maafi Nahi Hoti

“Ishaq mae shirk” or “mohabbat mae bewafai ki mafi nahi hoti

September 3, 2021September 10, 2021

Mohabbat Jab Pehli Ho Jaye sad breakup satus

Mohabbat jab pehli ho jay to muhabbat nahi rehti – Sad breakup status

September 3, 2021January 13, 2022

Bari chal seedhi lyrics

Download Video Sad Status – Bari chal seedhi hai roothy dino ki

September 2, 2021September 10, 2021

Main Tumhare Bagair Nahi Reh Sakta

Sad video Status – Magar main tumhare bagair nahi reh sakta

September 2, 2021September 10, 2021

do takkay ki larki

Do Takkay Ki Larki – Meray Pass tum ho – Dialogue Video Status Download

September 2, 2021September 10, 2021

Copyright © 2022 Techisb | Whatsapp Group Link.
Powered by WordPress and HitMag.